Chapter 9: Bharat Wapsi
Term added on Sunday 30th June, 2024 by Team
Bharat lautne se pehle unhone bahut saari kitaben khareedi aur apni luggage insured karwayi aur Thomas Cook aur Sons ko Bombay bhejne ke liye saump di.
27 July 1917 ko Boulogne se train pakadke aur Marseilles pahunche, aur wahan se S.S. Kaiser-i-Hind par sawaar hue.
Pehla duniya yuddh abhi bhi chal raha tha aur bomb aur submarine ke dar ke beech samundar ka safar khatarnaak tha.
21 August 1917 ko Babasaheb Ambedkar Colombo hoke Bombay pahunche.
Sambhaji Waghmare aur anya logon ne unka swagat karne aur unki shiksha safalta ki badhai dene ke liye ek sabha rakhi. Uss samay Bombay ka Chief Presidency Magistrate Rao Bahadur Chunilal Setalvad us sabha ke adhyaksh bane.
Lekin Babasaheb us sabha mein shaamil nahi hue. Sabha khatam hone ke baad kuch speakers aur pranet log unke ghar gaye aur unko badhai di.
Phir Babasaheb Ambedkar Baroda gaye, jahaan das saal tak Maharaja ki sewa karni thi unhe. Maharaja unhe finance minister banana chahte the, lekin pehle thoda administrative experience lena chahte the. Isliye unhone Military Secretary bana diya.
Maharaja ne apne officers ko station par swagat karne ka adesh diya tha. Lekin kisi ne bhi jaa kar unhe lene se inkaar kiya kyunki ve achhoot the.
Rehne ke liye jagah nahi mili kyunki koi rent par nahi de raha tha.
Ant mein ek Parsi Hotel mila, lekin apni pehchaan chhupani padi. Office mein bhi mahaul kathin tha. Itni uchhi padhai aur uchi pad(position) ke bavjood bhi clerk aur chaprasi file unpe fekte the, haath lagaane se manai karte the achhoot hone ke kaaran.
Office mein pani bhi nahi diya gaya aur ganda ho janeke dar se carpet hata di gayi. Yeh sab dekh Babasaheb haarte-haarte Maharaja se madad maangi.
Maharaja ne is baat ko Dewan ke paas bheja. Lekin Dewan ne kuchh karne me asamartha jataya. Jab Parsiyon ko unki achhoot hone ki sachchai pata chali to unho ne milkar Babasaheb ko mara aur jagah chhodne ko kaha.
Babasaheb ke paas aur koi rasta nahi bacha. Unhone November 1917 mein nirash aur aakroshit hoke Mumbai lautna pada. Unhone apna dost aur shikshak Keluskar ke zariye Maharaja ko apni majboori ka haal bata diya.
Tabhi Baroda ke Professor Joshi ne, jo Keluskar ke dost the, Babasaheb ko patra likhke bataya ki ve unhe apne ghar paying guest ke roop me rakh sakte hain. Ambedkar turant is peshkash par chale pahunche. Lekin station par Professor Joshi ka patra mila ki unki patni ghar me achhoot vyakti rakhne se khilaaf hai.
Waqt nahi lagate hue Babasaheb ne agle hi train se Baroda chhod diya. Kabhi vapas nahi gaye.
Baroda se lautne ke baad Babasahab Ambedkar ko bahut badi chunauti ka samna tha.
Parivaar chalane ke liye paise ki zaroorat thi to unhone tuition aur consultancy shuru ki. Lekin logon ko pata chala ki ve achhoot hai to sab chhodne lage.
Mumbai me Sarkari Sydenham College of Commerce and Economics me economics professor ki temporary naukri 450 rupaye ki tankhwah par mili. Babasaheb Ambedkar roz apni biwi Ramabai ko tankhwah ka hissa dete ghar chalane ke liye. Baaki bachat kar rahe the taki London School of Economics ki poori na hui padhai puri kar sake.
Parel me Improvement Trust chawl ke do kamron me rehte rahe jo unke pita ke daur ka makaan tha.
1919 me Southborough Committee ke samksh apni gawahi di aur bataya sarkar ko achhooton ke liye alag vote aur arakshan banana chahiye. Unhone Kolhapur ke Maharaja ki madad se ek akhbar bhi shuru kiya jiska nam Mook Nayak tha.
1920 me Babasaheb vapas London gaye apni adhuri law aur economics ki degree puri karne. 1923 me laut kar aur zor se achhooton ke liye ladai karne ke liye taiyaar the.
Babasaheb Ambedkar