Chapter 1: Early Life aur Childhood
Term added on Sunday 30th June, 2024 by Team
Bhimrao Ramji Ambedkar, jinko log pyaar se Babasaheb Ambedkar ke naam se jaante hain, unka janam 14 April, 1891 ko Mhow me hua tha, joh aaj ke Madhya Pradesh me Indore ke paas ek chota sa military cantonment hai. Woh apne maa baap Ramji Maloji Sakpal aur Bhimabai ke 14 baccho me se aakhiri the.
Ramji ke pitaji Maloji Sakpal military retired the. Apne pitaji ki tarah, Ramji bhi military mein bharti hue aur 2nd Grenadiers mein Subedar-Major ke post tak pahunche. Unhone 14 saal ke liye ek military school ka principal ka kaam bhi kiya aur 1893 me Rs 50 pension ke saath retire hue aur Dapoli, Ratnagiri district mein settle hue. 1894 mein unhe Public Works Department, Ratnagiri ke store-keeper ke post par dobara naukri mili aur baad mein unka transfer Satara ho gaya.
Ambedkar ek Mahar community me paida hue the, jise Hindu samaj ke social hierarchy mein sabse neeche mana jaata tha. Unke pita Indian Army mein Subedar the aur unhe bhi apni caste ki wajah se bahut discrimination face karni padti thi. Iska Ambedkar par, joh ek chote se bachche the, gehre asar pada, kyuki unhone dekha kaise Hindu samaj mein Dalits ko galat treat kiya jaata hai.
Halaki bohot financial problems ke hote hue bh Ambedkar ke pita ne yeh ensure kiya ki unke sabhi bachche ache se padhai kar paye. Ambedkar ki maa, joh shikshit nahi thi unhone apne baccho ke paalan poshan aur padhai mein bahut zaroori role nibhaya. Unhone hamesha unhe padhai pe dhyan dena sikhaya.
Ambedkar ke childhood me kaafi pareshaniya aayi, jaise young age se unhe discrimination face karna pada. Unhe apne classmates ke saath nahi baithne diya jaata tha, ya unhi ke glass se paani pine nahi dete the. Unhe classroom ke bahar baith ke ye intezaar karna padhta tha ki peon aaye aur unhe paani pilaaye.
Phir bhi, apne bachpan me Ambedkar dimaag ke tez aur unki padhai bhi bohot achchi thi. Woh kayi kitaabe padhte aur unse jaankari lena pasand karte the. Unhe history, economics aur politics me bahut interest tha.
In sab experiences ne Ambedkar ki soch aur bhavishya ke career par gehra asar daalne ka kaam kiya. Unhone believe kiya education hi caste discrimination aur inequality ke khilaf ladne ka jariya hai. Unhone apni zindagi isi cause ke liye dedicate kar di taki pichdi communities bhi apne rights ke liye lad sake.
Overall, Babasaheb Ambedkar ki early life bohot struggle se bhari thi lekin unki determination, hard work aur learning ke pyaar ne unhe aise challenges se fight karne diya aur woh India ke sabse bade influential leader bane.
Babasaheb Ambedkar